Wednesday, February 26, 2014

Beta, Twitter ko halka lain, Twitter hai, zindagi maut ka faisla nahin

Aaj informal type blog scene hai because ghussa bohat hai aur ghussay main kabhi acha blog likha nahin ja sakta.

Aik toh mujhay samajh nahin aati kay dunya jahan ki har cheez per tum logoun nay larhna kyoon hota hai. Matlab difference of opinion naam ki cheez ka toh poori zindagi suna hi nahin ho ga, haina? Bus jo aap nay keh diya woh sahi, baaki sab jhootay toh unnki zabaanain kaali haina? Beta aaaa kero, zabaan daikhni hai aap ki. Ajeeb ho yaar. Matlab argue kertay ho, pata bhi hai kay aglay banday ka different khayaal hai, laikin larhna bhi hai, aur phir khud bhi tappna hai aur doosray ko bhi tappana hai, aur baaki poori dunya ko baith ker laanat daini hai. Samajh nahin aati tum logoun ki.

Aik dafa main hi samajh kyoon nahin jaatay kay aap nay dunya kay rules nahin banaye jo itnay know-it-all banay phirtay ho. Har aik apni knowledge kay hisaab say bol raha hota hai. Laikin nahin, pata hai toh hamain pata warna baaki sab toh bethay hi jaahil hain, aap ki haan main haan milaanay kay liye. Oh woh daikho haathi urh raha hai! Ji bilkul theek kaha aap nay, haathi hi urhtay hain! Idiots.

Phir aatay hain aik khaas kisam kay loug jinn jo hum moralfags kehtay hain. Ji, ye woh loug hain jinhoun nay poori dunya per fatwa laga ker keh daina hota kay aap toh jahannum main hi ghar bananay ka soch lain. Khud bhalay hi namazoun kay waqt bhi nah pata ho, laikin lagay hain doosroun ko zaleel kernay. Aap pehlay zara apnay garebaan main toh jhaank ker daikh lain, kaunsa aap khud doodh key dhullay way hain? Apnay aap ko theek kerna nahin, aaye hain baray poori dunya per fatway laganay. 

Acha uss sab ko bhi chorr dain, aik awaam hai jis nay aaj kal sahi dimagh kharab kiya wa hai Twitter per. Ji bilkul sahi samjha aap nay - Rs. 20 kay 2 follower day do, Rs. 40 ki 10 RTs day doh. Oh bhayeee. Twitter hai kay PhD ka imtihaan jo ziada say ziada number lainay hain? Ussmain bhi itni mehnat nahin ki ho gi jitni tum loug waisay Twitter per mehnat ker jaatay ho. Balkay abhi parha hota toh shaid idhar RTs aur followers per mer na rahay hotay. Main Twitter per jab bhi log in hoti hoon, 4 loug hain jo har waqt apni follower count ki baatain ker rahay hotay ya RT baich rahay hotay hain. Yaar aap ko zindagi main aur koi kaam nahin hai? Ghar say nikaalay gaye way ho? Matlab hadd hoti hai yaar. Doh loug toh aisay hain jo beth ker logoun ko bol rahay hotay hain kay main aap ki follower count increase kerwata/kerwaati hoon, jaisay Tweeps toh inhi kay hukam say sab ko follow kertay hain. (Ji aap sahi samjhay hain kay main kis ki baat ker rahi hoon). Agar aap itni mehnat apni real life per kerlain toh shaid aap ko Twitter per bethnay ki zaroorat hi nah parhay. Juzz saying.

Iss poori bakwas ka basic point ye tha kay Twitter ko zara halka lain. Sar per sawaar kernay ki koi zaroorat nahin hai. Nah apna dimagh kharab kerain, nah baaki poori dunya ka. Twitter hi hai, zindagi maut ka faisla nahin ho raha idhar. Iss liye baraaye mehrbani zara haath haula rakhain aur apni hi izzat ki fikar ker lain, chaahay kitni hi kam ho, hai toh sahi nah. Nahin bhi hai toh zara dimagh ka istemaal hi ker lain. 

2 comments:

  1. جب لوگ کوالٹی کی بجائے کوانٹٹی میں پناہ تلاش کرنا شروع کردیں تو یہی حال ہوتا ہے۔ بہت اچھا سم اَپ کیا آپ نے ساری صورتحال کو۔

    ReplyDelete