Friday, March 7, 2014

Dunya kitni darpok hai iss ka mujhay ab andaza ho raha hai

Aaj subha say main aik cheez daikh rahi hoon. Naam kisi ka nahin loon gi because idhar ronay walay bohat hain. DMs main baat lay jaatay hain aur phir kehtay hain main buri hoon. Khair choro.

I'm a very opinionated person. I need to have an opinion on everything. And if I don't know about something, for example, politics, etc, toh main search kernay beth jaati hoon. I can't stand not having an opinion. Laikin kuch loug hain iss dunya main, badnaseebi hai unn ki kay woh itnay jiyaalay nahin kay apna opinion poori dunya kay saamnay hazir ker sakain. Kyoon? Unn kay peechay police lagi hai? Ammi nay mana kiya hai? Girlfriend/boyfriend nay break up ker laina? Nope. Baat sirf itni hai kay unnko ye dar hai kay kyoon kay unn ka opinion baaki sab say different hai toh unn ki baisti ho gi, ya people won't like them anymore.

Ji, sahi parha hai aap nay. Loug sirf iss liye apna opinion nahin batatay cuz unn ko dar lagta hai kay loug unn ki shaid baisti ker dain ya phir unn say baat kerna chorh dain. Twitter aur Facebook per aur social forums per ye cheez bohat nazar aati hai. Agla banda chaahay kitni hi ghattiya ya ghalat baat ker raha ho, ye loug unn say agree hi ker jaatay hain taakay inn ki popularity intact rahay.

Sawaal hai mera aisay logoun say. Aap ko popularity toh mil gayi, followings/friends bhi mil gaye? Izzat mili? Self-respect mili? Nahin nah. Toh kya faida aisay fame ka jis main aap nay zaleel hi hona hota hai? Matlab ye baat aaj aap mujhay samjha hi dain kyoonkay mujhay toh ye baat samajh aati nahin. 

Jahan tak mera khayal hai, everyone has their own opinions and thoughts, and everyone is original in that way. But if you keep trying to agree with others just for the sake of getting people to like you, then I'm sorry, you neither deserve that fame nor the popularity that you speak of. Also, you need to have the guts to tell people they're wrong where they ARE wrong, or to tell people you think differently. There is absolutely no harm in thinking differently, unless you make it out to be that way. For example, I absolutely hate nose piercings. Matlab. Zeher say bhi buri lagti hain. Laikin ab agar discussion ho rahi hai iss per toh main yeh bol doon kay nose piercing achi hai just because everyone else is saying so, means kay main intehaa kisam ka lota hoon. Hai baat kay nahin?

Iss liye baraaye mehrbaani, have some guts, koi aap ko khaa nahin jaaye ga for having an opinion. Ajeeb darpok ho sab. Opinion rakho, don't be afraid to voice it. Koi kuch bolay toh aagay say sunanay ki himmat bhi rakho. Aur khuda ka naam loh, ye popularity aur fame qabar main nahin aaye ga saath. Iss kay peechay bhaag bhaag ker apnay aap ko dunya aur khuda kay saamnay zaleel nah kero. 


No comments:

Post a Comment